Ek saath aur chut gaya ...
Ek mitti ka pyala phir tut gaya....
Aankhon mein pyaar aur dil mein jeene ka jasba...
Sapno ko jaga kar...
khud lambi,gehri nind mein so gaya....
Mera dost mujhe aaj chod gaya...
Aur dil mein yaadon ki dhundh bikher gaya...
Aashaon ko jagruk kar...
aaj apne aap ko aur buland kar gaya...
Mere jeevan se mera parichay kara kar ...
khud woh khudi mein kho gaya....
Mera woh dost aaj mujhe chod gaya...
kuch kisse...aur kahaniyan chod kar...
woh katha vachak khud kirdar ban kar reh gaya...
Jo zindagi ke rahasyon ko samjhata tha mujhko ...
woh khud anjana ho gaya...
Nam aankhon mein apnatva...muskurata hua chehra....
Mera woh dost.... Kahan chal diya ...
-Shreeja Mohatta Jhawar
19th March 2010
in the memory of ASHIS SEN .

Comments
Post a Comment
Please Leave Your Comments Here...This will Help Me Grow As A Writer